raat sannaten bhari
pankhe ke kirach-kirach ke
chalne ki awaaz,
kanon mei spasht
ghadi ki tik-tik .
chalaayamaan samay
har pahar har ghadi
beetata din, aur ritati raat.
badhti umra
budhape ke nazdeek
sarkate log,
kaun jaane
kab gadi kharaab ho jaaye .
parantu ,pratikhsharat aankhen
rozgar ki talaash mei
mukaam ko dhudhti huee;
ki kuchh bhi nahi rukta,
talaash bhi
kisi maud par khatm hogi
aur khushi ki bahaar
fir se tumhe sarabor kar degi,
nayi oorja ke sath
chal padne ke liye ..
pankhe ke kirach-kirach ke
chalne ki awaaz,
kanon mei spasht
ghadi ki tik-tik .
chalaayamaan samay
har pahar har ghadi
beetata din, aur ritati raat.
badhti umra
budhape ke nazdeek
sarkate log,
kaun jaane
kab gadi kharaab ho jaaye .
parantu ,pratikhsharat aankhen
rozgar ki talaash mei
mukaam ko dhudhti huee;
ki kuchh bhi nahi rukta,
talaash bhi
kisi maud par khatm hogi
aur khushi ki bahaar
fir se tumhe sarabor kar degi,
nayi oorja ke sath
chal padne ke liye ..
No comments:
Post a Comment